Shiv Chalisa

Home  CHALISA Shiv Chalisa

Shiv Chalisa

Shiv Chalisa lyrics

Shiv Chalisa Ek Hindu Dharm Ka Bhagwan Shiv Ko Samarpit Chalisa Hai, Jo Unki Mahima Aur Kalyan Ke Liye Gaya Jata Hai. Yeh Chalisa 40 Shlokon Se Milkar Bani Hoti Hai, Jinme Bhagwan Shiv Ki Bhakti Ki Jati Hai Aur Unke Guno Ki Mahima Gai Jati Hai.

Shiv Chalisa Ka Paath Karne Se Bhakt Shiv Ki Kripa Pa Sakte Hain Aur Unke Ashirwad Se Jeevan Mein Sukh Aur Shanti Prapt Kar Sakte Hain. Yeh Chalisa Bhagwan Shiv Ki Bhakti Mein Lage Vyakti Ke Dil Ko Shanti Aur Prem Se Bhar Deti Hai Aur Unhe Unke Uddeshya Ko Prapt Karne Mein Madad Karti Hai.

Shiv Chalisa Ka Paath Akeli Ya Samuh Mein Kiya Ja Sakta Hai Aur Yeh Shiv Bhakti Ke Liye Ek Mahatvapurna Paath Hai. Ise Dhyan Aur Bhakti Ke Sath Padhne Se Bhakt Ko Mansik Aur Aatmik Shanti Ki Prapti Hoti Hai, Aur Unhe Bhagwan Shiv Ke Prati Adhik Samarpit Banata Hai.

 

Shiv Chalisa Ke Shlokon Mein Bhagwan Shiv Ke Vibhinn Namon Aur Gunon Ki Mahima, Unke Kripa Ke Bare Mein Bataya Gaya Hai, Aur Bhakt Ko Unki Puja Aur Stuti Ka Madhyam Prapt Hota Hai. Yeh Chalisa Shivratri Aur Anya Shiv Puja Avsaron Par Vishesh Roop Se Padhi Jati Hai.

 

 Doha-

Jai Ganesh Girija Suvan,

Mangal Mool Sujan.

Kahat Ayodhyadas Tum,

Dehu Abhay Varadan.

 

Chaupai

Jai Girija Pati Deen Dayala,

Sada Karat Santan Pratipala.

 

Bhal Chandrama Sohat Neekhe,

Kanan Kundal Nagaphani Ke.

 

Ang Gaur Shir Gang Bahaye,

Mundamal Tan Kshar Lagaye.

 

Vastr Khal Baghambar Sohe,

Chhavi Ko Dekhi Naag Man Mohe. 4

 

Maina Matu Ki Have Dulari,

Baam Ang Sohat Chhavi Nyari.

 

Kar Trishul Sohat Chhavi Bhari,

Karat Sada Shatrun Kshayakari.

 

Nandi Ganesh Sohai Tah Kaise,

Sagar Madhya Kamal Hain Jaise.

 

Kartik Shyam Aur Ganrau,

Ya Chhavi Ko Kahi Jat Na Kau. 8

 

Devan Jabahi Jaay Pukara,

Tab Hi Dukh Prabhu Aap Nivara.

 

Kiya Upadrav Tarak Bhari,

Devan Sab Mili Tumhin Juhari.

Turat Shadanana Aap Pathaayo,

Lavanimesh Mahan Mari Girayo.

Aap Jalandhar Asur Sanhara,

Suyash Tumhara Vidit Sansara. 12

 

Tripurasur San Yuddh Machai,

Sabahi Kripa Kar Leen Bachai.

 

Kiya Tapahi Bhagirath Bhari,

Purab Pratijna Tasu Purari.

 

Danin Mahan Tum Sam Ko Nahin,

Sevak Stuti Karat Sadahi.

 

Ved Naam Mahima Tav Gaai,

Akath Anadi Bhed Nahin Pai. 16

 

Prakati Udadh Manthan Mein Jwala,

Jarat Surasur Bhae Vihaala.

 

Keehi Daya Tahan Kari Sahaai,

Neelakanth Tab Naam Kahaai.

 

Pujan Ramchandra Jab Kinha,

Jeet Ke Lank Vibhishan Dinha.

 

Sahas Kamal Mein Ho Rahe Dhari,

Kiin Pariiksha Tabin Purari. 20

 

Ek Kamal Prabhu Raakhau Joi,

Kamal Nayan Pujan Chahan Soi.

 

Kathin Bhakti Dekhi Prabhu Shankar,

Bhae Prasanna Diye Ichchit Var.

 

Jai Jai Jai Anant Avinashi,

Karat Kripa Sab Ke Ghatvasi.

 

Dusht Sakal Nit Mohi Sataavai,

Bhramat Rahoon Mohi Chain Na Aavai.

 

Trahim Trahim Main Nath Pukaro,

Yehi Avasar Mohi Aan Ubaro.

 

Lai Trishul Shatrun Ko Maaro,

Sankat Se Mohi Aan Ubaro.

 

Maat-Pita Bhrata Sab Hoyi,

Sankat Mein Poochhat Nahin Koi.

 

Swami Ek Hai Aas Tumhari,

Aay Harahu Mam Sankat Bhaari.

 

Dhan Nirdhan Ko Det Sada Hi,

Jo Koi Jaanche So Phal Paahi.

 

Astuti Kehi Vidhi Karain Tumhari,

Kshamahu Nath Ab Chook Hamari.

 

Shankar Ho Sankat Ke Nashan,

Mangal Karan Vighn Vinaashan.

 

Yogi Yati Muni Dhyaan Lagaave,

Sharad Narad Sheesh Navaave.

 

Namo Namo Jai Namah Shivaya,

Sur Brahmadik Paar Na Paaya.

 

Jo Yeh Paath Kare Man Laai,

Ta Par Hota Hai Shambhu Sahai.

 

Riniyaan Jo Koi Ho Adhikaari,

Paath Kare So Paavan Haari.

 

Putra Heen Kar Ichchha Joi,

Nishchay Shiv Prasad Tehi Hoi.

 

Pandit Trayodashi Ko Laave,

Dhyaan Poorvak Hom Karaave.

 

Trayodashi Vrat Karai Hamesha,

Taake Tan Nahin Rahe Kalesha.

 

Dhoop Deep Nivedya Chadhaave,

Shankar Sammukh Paath Sunaave.

 

Janam Janam Ke Paap Nasaave,

Ant Dhaam Shivpur Mein Pabe.

 

Kahain Ayodhyadas Aas Tumhari,

Jaani Sakal Dukh Harahu Hamari.

 

Doha

Nitta Nema Kar Praatah Hee,

Paath Karau Chalisa.

Tum Meri Manokamana,

Poorn Karo Jagdish.