Ganesh Bhajan Lyrics -
Aaye ho ghar tum humare deva Aaye ho ghar tum humare deva 
Karne do hum sabko charno ki sewa Karne do hum sabko charno ki sewa
 
Iss baar jaldi na jaana kuch din to yahi bitana 
Shubh din hai ye pal shubh yeh ghadi hai 
Darshan diye tumne kripya vo bahut badi hai 
Tumne charn rakhe jabse hai deva lagti mehal si meri jhopdi hai 
Yahi daya barsana deva 
Karne do hum sabko charano ki sewa karne do humko charno ki sewa 
Prabhu daya karo ridhi sidhi se bhi mila dio 
 
Shubh labh ke bhi darshan kara do 
Shree gauri shankar ko sath laana 
Shiv dhaam mere ghar ko bnana 
Prabhu shiv dham mere ghar ko banana 
Karuna ka amrit pilana deva
Karne do hum sabko charano ki sewa karne do humko charno ki sewa 
Iss baar jaldi na jaana kuch din to yahi bitana 
Mangal karo sare karj humare siddhi vinayak hum hai sewak tumhare 
Lakkha ki takdeeer mein sukh tum likh do 
Jis din tmhari suharat nihare 
Apna bana lo deewana hai deva 
Karne do hum sabko charno ki sewa karne do humko charno ki sewa